No
Questions
Answer
11095
Asslam-o-Alaiqum. Dear Mufti sb.Arz hay k meinay 25 Safar ko ek Nafli Roza rakha aur uss ka swab Aalaa Hazarat Shah Ahmad Raza Khan (Alah Rahmat Ul-Rahman)ko bakhsh diya hay.Mera swal yeh hay k kiya aesa karna jaiz hay aur iss rozay ka swab Aala Hazrat ko miljaey ga.Jwab say mustafeed farmaiyn.Jzak Allah ho khairah
8208
mufti sahab ham to apna nabi sa itni muhabbat ka dawa karta haan to phir un ka batai hooa raasta sa hat kar kyun chalta haan unhon na jo tariqa aisala sawab ka bataia us hi tara aisal sawab karna chahia ya nahin.kia aisal sawab log apna apna ghar bath kar nahi kar sakta kia in ka ikatha hona zaroori ha.aur aik sawal ya ka agar kisi gareeb ka ghar maot ho jai to uss ka lia azab ban jata ha aik to pahla hi woh bohat parashan hota ha aur doosra in hatamon ki rasmon sa woh qarz ka nicha doob jata ha .is rasam ki waja sa wo pai pai ka mohtaj ho jata ha aur agar ya sab wo na kara to us ki naak kat jati ha is lia ussa karna hi parhta ha kyun ka is ka doosra rishtadaar jo itna harch bardasht kar sakta haan unhon na to ya sab kia hota ha is lia ussa bhi karna parhta ha akhir aik hi handan main sara amir ya gareeb hi to nahin hota koi ameer hota ha to koi gareeb hota ha.mujha koi sahi mashwara dain ka ya sab kia ha aur kyun pls detail ka saath shukria.
8204
mufti sahib mera sawal ya ha ka qulon daswain aur chaliswain ka khatam agar nabi pak (s.a.w) ya sahaba karam na nahi parha to ham kyun parhta haan aur apka maina aik sawal ka jawab suna apna kaha ka ya sab aisal sawab ka lia parhta haan theek hai aisal sawab ka lia hi parhta haan lakin ya hamara nabi ka tariqa nahin ha jo unhon na hamain tariqa bataia ha us tara aisal sawab kyun nahin karta nabi pak (s.a.w) na to sirf 3 din tak soag manana ka tariqa bataia to ham log kyun chalis din tak soag hi manata rahta haan.
8116
ASSALAAM O\'ALAIKUM,ESAAL E SAWAB KIA SIRF ULAAD KA HI PAHANCHTA HAI APNAY WALDAIN KO,YA KISHI KA BHI,TAFSEEL SAY IRSHAD FARMAAIN
8112
sab sa pahla mara salam araz ha janab ki hidmat main mujha ya batain ka kia qulon ka khatam daswain ka khatam chaleeswain ka khatam aur salana khatam dilana sahi amal ha islam main . kia hamara piara nabi na apni zindagi main aisa kam kia ya aap ka baad kisi sahaba na ya amal kia agar kia ha to pahla quran pak sa aur phir kisi bhi hadees sa ya amal nikal kar batain hadees ka naam ya quran pak ki ait aur surrat ka naam bhi batain main aap ka bohat mashkoor hon ga.
8055
Assllam O Alikum muftii Shab bath baoth shukiara k app ne mere 7801 ka jwab diya mujhay yah malom karna hai k yah Koownday jo hoty han Niyaz k kia yah karna jayaaz hai ya nahi mujahy plzz bata dain Q k MERE aMI baoth saal say kar rahi han Koownday,,baoth baoth shukiara mere pahaly sawal ka jawab danay k liaa Khuda Hafiz
7660
Aslam-0-allakum! Mufti Sahb mara Question yeh hai k agr koi sukhs 1 Quran pak parhta hai. us k sawab ko asal kar dyn to kia is k bad ksi or ko iska Sawab asal kar sukty hai. yani 1 Quran pak ko 1 sy zaida bundo ko asal kar sukty hain ya nai? JAZAKLLAH
7579
Asalamo alykum Qibla Muftis sb:mujy kisi ny 41 quran e pak milk kiay,ab kisi ki fotgi yay aisal e sawab ky liay mahfil my 40 quran e pak aisal (aisalesawab) kisi ko ker deta ho,yani sirf aisal kerta ho milk nahi kerta, tu aya my jitny marzi logo ko bar bar aisal kero ker sakta ho ?hor jo log mangty hein ky koi quran pary howay hein apny foot shodguan ko aisal kerny ky liay,tu kya un ko bi kh sakta ho 41 quran ka aisal e sawab,hor pir bi wo quran e pak mery pas hi milk hongy ?wasallam
7206
assalamalaikum. mere walda ki intikhaal hochuka hai. mai unkay liyae rooz kooch padna chati hu jisay unkay darjae buland ho. aap koi amal kahae jo mai rooz karsako.
7087
salam mera yeh sawal hai k kisi chez par niyaaz, fatiha karna jaez hia ya nahi? agr jaez hia to koi hadees ya ayat k hawale se aagah kijiye. mujhe zaroor reply kijiye ga shukriya.
6956
Assalam-o-Alykum,mera swal ye hai k mere pas quran ak hai jo saudia arab se aaya hai us me main ne niaz k barey may tafseer parha tha k ghair-ul-lah ki niaz dilana or khan dono haram hai,is lye braey meharbani mjhe is ka sharai hukm bta dein bohat nwazish ho gi.ASSALAM-O-ALYKUM
6768
asslaam alaikum wr wb wm,mera sawaal ye hai ke aik aunty ne mujhe khatam shareef kerte hue daikha to unhoon ne mujh se sawaal kia ke aap jo ye aage food rukh ker khatam perh rahe hain ye aap ko kiss islaam ne kaha hai,kahaan hamaari hadees ya koi bhi riwaiet se saabit hai ke aage food rukh ker hi aap ko khatam daina chaahie aap bus kuchh kalaam perahain or eesaale sawaab ker dain ye aap shirk ya bidaat kerti hain,please aap mujhe is baare main tafseel se bataa dain taa ke mera zehen saaf ho jaai or main un ko jawaab de sakoon ya phir mujhe aap koi hazret ki book bataa dain jo main perh ker illm haasil ker sakoon,insha allah jawaab ki jaldi tawaqaa hai,allah haafiz
1 2 3 4 5 6
Copyright 2003-18 All Rights Reserved