No
Questions
Answer
11097
Assalamulaikum, Dua Ganjul Arsh aur Duroode Taj me padhne Waqf ke saath padh sakte hai.Jaise ki Dua Ganjul Arsh me Subhanal Maliki Quddus padh sakte hai ya Subhanal Maliki Quddusi padhna chahiye. Mazeed Dua Ganjul Arsh padhne me kisi Buzurg ki kaise le.
8120
Salam mufti sahab mujhey ap se do sawal karney they ek to yeh k urdu zaban or english mai bhi aj kal quran majeed hain market main to agar hum urdu zaban main yah wo zaban jo humein achi tarhan samjh main aye quran parh sakhtey hain?or kia us ka bhi utna hi sawab hai k jitna arbi ka or dosra sawal k kia larkhi k liye naak chedwana lazman hai shadi se pahley yah bad?ap ki es site ki buhat maskoor hou allah ap ko or toufeeq dey or apney hefzo eman mai rakhey shukriya allah hafoz
8089
kiya mein without wazoo internet say quran ki talawat kar sakta hon
8049
assalam o allaikum mera sawal yeh hai k fajar aur asar k waqt sajda e tilawat ker saktey hain ya nahi? regards Allah Hafiz
7666
hafiz agar qurane pak bhool jaye jabke iska dimag bhut kamzor ho yani woh bhut kosish karta he or sirf waqti tor par yani taraveeh parhate waqt para yad ho jata he or pahir thore din bad bhool jata he to ab aisi soorat men iske liye wohi hukm he k baroze qayamat andha khara kiya jaega
7192
Assalamualikum Mufti sahab, kiya website per Quran E Pak ki tilawath sunne ka sawaab Live Quran sunne k bara bar milaega ya nahi?JAZAKALLAH.
7109
Salaam mufti sahab,mere 2sawal hai 1. mai jab roze ki haalat mein Quraan shareef ki tilawat karta hoon to mu mein bar bar thook aata hai kya usse nigal sakte hai ya nahi to phir kya karna chahiye and doosra sawal 2.Aqae niamat imame ahle sunnat Syeddi Alahadrat(ra) ne apne waalid ke paas kamopesh 14 saal tak deni taleem haasil kiye phir uske baad naahi koi madrasa gaye nahi kisi ustaad ke paas to phir itna qawi haafza itna bada ilm rakhna woh bhi mukhtalif shobe(field) mein aur unke paas bada ilm ka pahaad ishq ka samandar yeh sab kaha se aaya beshak Allal Azajawal se hi aaya lekin duniyai tor pe kaha se aaya plz jaawab aata farmayen.
7019
asalam o aliekum mera sawal ya hay k agar telawat kartay hoy sajda ajay to sajdha karna os waqt zaroore hay ya bad may b karsakthay hay or ya sajdha telawat faraz hay ya sonath hay ya per wajeb hay is kay bary may b bathay?
7018
7015
Assalamuaalaikum, Jaanab mera sawal ye he ke kia bagher wazu ke computer par Quran-E-Kareem ki Tilawat ki ja sakti he. awar Tilawat ka sajda agar baad me wazu banany ke baad kia jay to gonah to nahi hoga. JAZAKAMULLAH
6906
assalamu alaikum mufti sahab bad salam arz eh he keh agar koi shakhs qaran e majeed ki tilawat kisi kasit ki zariye ya CD ke zariye sune aur us ne us me ayat sijdah suni to kiya us par sijdah wajib hoga ya nehi baraye meherbani quran wa hadees ki roshni me hame bataye bari meher bani hogi alariz: abdul aleem
6787
Assalamualaikum wa-rahmatullahi wa-barakatuhu wa-maghfiratuhu, Kaise hai Mufti sahab aap? Mamnoo waqt(Yani Tulu-e-Aftab,gurub-e-Aftab) me quraan-e-paak ki tilawat karna kaisa hai
1 2 3 4 5 6
Copyright 2003-19 All Rights Reserved