No
Questions
Answer
8277
SALAM MUFTI SAHAB.. APP NE ISLAMIC BANKING KE TERMS AND CONDITION KO READ KEYE BAGEER HE USE HARAM QARA DE DEYA HAI... AHLESUNNAT KE FAMOUS AUR BARE BARE MUFTI ISLAMIC BANKING KO JAIZ QARA DE RAHE HAI AUR KHUD ISLAMIC BANKING KE MUFTI BHI JAIZ KEH RAHE HAI..MAIN NE SIRF APP SE SUNA HAI KE ISLAMIC BANK SE DEAL KARNA HARAM HAI... APP NE KES REASON SE ISLAMIC BANK KO HARAM KAHA HAI KOI 1 REASON TAFSEEL SE BATADEE... ALLAH AHFIZ....
8173
Assalamualaikum Kya Hindu ki bank se loan le saktay hein aur sood ke muamlaat jo hongay ooskay liye kya shryii huqm hai.................agar oos Hindu ki bank mein management mein yaani ownership mein agar bhi muslim ho t-o kya huqm aayega ........agar munafiqon ki bank hai maslan wahabi,deobandi,najdi ke bank t-o loan ya bank mein paisay rakhna ya sood ke muamlaat ........... Rahnumayi farmkar azr-e-azim farmayein. JAZAKALLAHU KHAIRA Altafraza Attari
7921
AS SALAM O ALLIKUM MUFTI SAHAB khairiat say hai aap. 1)aik aadme government officer hai us kee har month kee salary mai say kuch paisey government apney pass bank mai us kay account mai safe kartee hai aur jab wo retired hota hai to us ko wo paisa milta hai aur saath us kay saath sodh ka paisa bee milta hai jo itna arsa bank mai rakney kee waja say milta hai. aadme yeh letha hai sodh ka paisa wo chorey ya na chorey kio kay agar jab wo job kar raha tha yeh paisa us ko us waqt milta to wo us say faeeda uta sakta tha laikin government nay zabardatse apney pass rakha.islie kia aab jo us kee salary kay saath sodh ka paisa mila wo jaiz hai ya nahe. AS SALAM O ALLIKUM and ALLAH HAFFIZ.
7725
assalam, aap ne sawaal no 6604 me kaha ke ham karze ke badle munafa mang kar kafir se zyada le sakte hai........tou phir me kisi kafir financer ko 10 lakh diya aur usne kaha ki me 1 saal baad 12 lakh doonga.........ab woh kafir tou financer hai , woh tou musalmaan,christian,kafir jo aayega sab ko interest/sood lekar paisa karza dega.........tou kya mae jo munafa financer se loonga woh mere liye jaiz hoga ya nahi
7724
sawaal no 6604 ke jawab me woh musalmaan se lene ke liyeaap ne mana kaha hai woh tou thik hai,magar usko saath me maine koi chiz de di maslan topi aur use 10 lakh aur topi ko woh lene ke baad kehta hai mae 1 saal baad 10 lakh aur topi ka 240000 wapas doonga..........yeh ek type ka hila ho sakta hai kya........jaiz hoga ya nahi......aur jaisa ke apne ne kaha hai ki kafir se tou mang kar bhi le sakte hai tou phir kya madmazhab deobandi,ahlehadas ,rafzi wagera jinn ka kufr roshan ho aur jo ahlesunnat ke nazdik murtad ya kafir hai unsae bhi mang kar le sakte hai kya...Jazakallah
7604
assalamualykum hamari masjid ka saving account tha jis ko band kiya gaya. us par masjid ko sood ki kuch raqam mili ab masjid kay kuch member kehte hain ki us paise ko garibon mein banta jaye jabki kuch log kehte hain ki yeh paisa masjid ke bailtulkhula aur bahar ke repair ke kaam mein lag sakta hai. baraye meherbani batayein kys sahih hai manzoor ahmed srinagar kashmir
7241
Assalmalikum wrehmatullahi wabarakatahu....mufti sahab mujey ye poochna tha ki agar koi shaks saving account ye fixed account sey milney waley sood ko kisi gareeb ko dedey to kiya ye thik hai aur.....jo fixed deposit karwatey hain kya woh sahi hai aur jo usepe interest ka amount milta hai ussey bhi issi tarha kisi garib ko dede to kiya ye sahi ye fir iski rakam rakhna jaiz hai
7217
Mufti Sahab Canada jese country main Sood se mutaliq Shariat ke kia ehkamat hain, yani yahan per soodi schemes main invest kia ja sukta hai?. Doosra sawal isi se mutaliq hai, idhar goverment ki ek shceme hai ke agar app apne bachon(kids) ke lia paise save karen gain to governmet us main 20% contribute kure gi. Yani agar bache ki 18 saal se pehle aap ek lakh save karain ge to goverment us bache ke lia 20,000 de gi. Lekin government se ye raqam lene ke lia app ko kahin na kahin saving account khulwana parta hai, phir us saving account per banks kuch na kuch return bhi dete hain to 18 saal main app ki bachai hoi raqam bar jati hai, Government se 20% lene ka aur koi rasta bhi nahi hai. ab aap rehnumaai furmain ke hum ye shceme lain ya na lain. Agar ye scheme lain to woh raqam jo ke interest main hasil hoi us raqam ki sharai haisiat kia hai. Yani us raqam ka kia karen?
7180
assalam_alaikum madni huzur mera yeh sawal hai ke hindustan mien jharkhand state jamshedpur mien rahta hun yahan mer abbu a/c chalta bank mien fixed deposit wala mien interest lena kaisa hai interest le sakte hai ke nahi
7148
AsalamoAlikum janab motaram mufti sahab.ky hall hai janab ka umeed karta hon k inshAllah ap theek hon gay janab main ne sood k baray main ap se sawal kia tha aur us ka jawab bahi muj ko mil geya hai bari mehbani ap ki Allah ap ko khush rekh.janab ab pochna ye chata hon k sood to main ne lay lia hai abhi jo sood main ne lia tha us ko apnay kaam main bahi laga dia hai abhi main toba karna chata hon ager is ka koi kafara hai to bata dain ap ki bari mehbani ho gi.2nd bat ap mehbani kar k naraaz nahi hona jab bahi ap ko kisee sawal main salam deya jata hai to ap plz jawab day deya karin ho sakta hai ap dil main jawab dayty hon.ager koi baat buri lagi ho to maaaf kijay ga Allah hafiz AsalamoAlikum
7140
Salam Alyeekum wohrahmatullah woh barkatahoo,Mufti sahaab Allah App ko appne Rahamat se Nawaze (Ameen)mera sawal hai ki kiya Hindu see sood lee saktee hai. Aahle kitaab see sood lee sakte hai.Aur Life Insurance karwa saakte hai.Aur Hindu ke Pooja ka sweets khana Haram hai ya Haalal. Kiya saahe Hadesh hai Allah Haafiz
7002
asslam alaykum hamara masla hai ham ne 2month phelay agreement may ek ghar 7 lakh dekar 3 saal k liye liya hai lakeen usmay rent{makaan kiraya nahi hai nahi hai} ek gair muslim is ghar ka malik hai. kya is surat may ye suod tu nahi aur is ka hal batay khuda hafizka
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12
Copyright 2003-10 All Rights Reserved